Naram mulayam ghassho par baitha kutta so raha tha
wohi pass pass mein baitha mali ka baccha ro raha tha
mila jo us kutte ko biskut uski bhi aankhein lalchayi
kutte ki tapakti laar ke sang uski bhi aankhein bhar aayi
haath badhe jab us biskut ko tab kutte ne bhi aankhein dikhayi
bache ki futi kismat par kutte ko bhi taras na aayi
malik laya trolly ko kutte ko lejane ko
biskut ke tukde chod gaya wo uski pet ki aag bhujane ko
malik ki bitiya dhori aayi kutte ko god uthane ko
laad pyaar se puchkar kar bottel se dhudh pilane ko
"Kash ye bhi kutta hota" baitha mali soch raha tha
hari bhari gaasho ko chod kar sukhi ghass ko noch raha tha !!!!!!
No comments:
Post a Comment