Sunday, April 4, 2010

Lanat-e-dahej

Har sehar har gali mein hai charcha dahej ka

dunia mein yein riwaj hai occha dahej ka

ladke ka janam ho to ye kehte hai faqr se

ladka nahi mila hai ye tikat hai dahej ka

ladkein ki maayein kehti hai lena hai nakad bhi

T.V aur fridge to hota hai hissa dahej ka

ladki ki maa ki raat ki nind bhi haram hai

sun sun kar subaho shaam ye charcha dahej ka

kitni hi ladkiyon ko mara hai dahej ne

lekin na khatam ho saka kissa dahej ka

har aadmi dahej ko lanat hai bhejta

phir bhi tarasta hai wo rista dahej ka

pabandi lagayi hai to hai sarkaar ne lekin

phir bhi shabaab par hai yein dhandha dahej ka

farmaan suno dunia ke maalik ka dosto

Dulhan hi behtrin hai hisaa hai dahej ka!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment